Yuhi baithe baithe najane kitna arsa beet gaya
sannate ke goonj me dubkar apna hi awaaz ghum gaya
itna tha ujala fir bhi andhiyara use daba gaya
Shyam ki dastak ayi aur aaj ka bhi din dhal gaya
ek masum khwahish leke tha nikal pada
raste pe thak gaya, woh bhi aage na badha
khwab sabhi dekhte hai par bhool gaya tha disha
sirf ek lehar ki chunnauti se sara sapna simat gaya
ussi lehar par kudne ka ek armaan mann me jhunjhta raha
takrake chur honewale pathar se alag astitva banane ka chaha
sunhari dhoop me bhi dhundne laga badalon ki chaav
jhuki aankhon me aa gaya ab umeedo ka bhaav
ruka nahi thama nahi, jaana sirf sapno me hai jaan
leharo se ladne laga dene sapno ko anjaam
No comments:
Post a Comment